khwab hun main to meri zat se pahle kya tha abhi jaga hun to is raat se pahle kya tha apne hone ka ab ehsas hua hai kuchh kuchh tujh se is tishna mulaqat se pahle kya tha main agar chup hun ye bahta hua dariya kya hai lab-kusha hun to meri baat se pahle kya tha gardish-e-sham-o-sahar ek nigah-e-mahr teri tere is lutf-o-inayat se pahle kya tha khushbuen kis ki hain ye rang bhare hain kis ne mere in khak ke zarraat se pahle kya tha tujh se kya puchh rahe the ye mah o mahr o nujum main na tha mere sawalat se pahle kya tha