qissa-e-mazi sipurd-e-taq-e-nisyan kar diya zindagi mushkil thi is mushkil ko aasan kar diya muntashir hai kis qadar shiraaza-e-nazm-e-hayat apni barbaadi ka tu ne khud hi saman kar diya ab shikayat hai tujhe be-mehri-e-taqdir ki in nigahon ne hi virana gulistan kar diya ab bhi baqi hain teri azmat ke kuchh zinda nishan teri satwat ne to ek aalam ko larzan kar diya muztarib hun azmat-e-rafta ko pane ke liye jis ne aain-e-jahan-dari ko hairan kar diya chahta hun main ho tajdid-e-mazaq-e-zindagi main ne fitrat ke usulon ko numayan kar diya rahbar-e-insaniyat meri nawa meri sada aaj ek jins-e-giran-maya ko arzan kar diya