ilahi koi hawa ka jhonka dikha de chehra uda ke aanchal ki jhankta bhi hai wo sitam-gar to khadkhadi mein laga ke aanchal zarur dhaega koi aafat zarur fitna bapa karega ye tera atkheliyon se chalna jhuka ke gardan utha ke aanchal jo tum ko manzur hai phir aana tumhin kaho phir ye kaisa jaana jata ke ghussa suna ke baaten chadha ke tewari chhuda ke aanchal zamana furqat ka jae ya-rab wo waqt wo din bhi aae ya-rab ada karun main tera dogana khade rahen wo bichha ke aanchal zarur hain kuchh na kuchh kashida ki rahte hain dur dur hum se jo pas bhi aa ke baithte hain to zer-e-zanu daba ke aanchal tumhein hai sahib lihaz kis ka ye kosna chupke chupke kaisa dua karun main ragad ke matha kaho tum aamin utha ke aanchal tera ye buta sa qad qayamat pe chaal matwali aafat aafat ye pyari surat sitam dupatta ghazab ki rangat bala ke aanchal samajh le ye dil mein 'asman' tu wo lot hain tere lotne par jo odh kar latpata dupatta lutate hain adbada ke aanchal