sirf aazar uthane se kahan banta hai mujh sa uslub zamane se kahan banta hai aankh ko kat ke kuchh nok-palak sidhi ki zawiya sidh mein aane se kahan banta hai kuchh na kuchh is mein haqiqat bhi chhipi hoti hai waqia baat banane se kahan banta hai husn-e-yusuf si koi jins bhi rakkho is mein warna bazar sajaane se kahan banta hai is mein kuchh wahshat-e-dil bhi to rakhi jati hai bagh bas phul ugane se kahan banta hai rasta banta hai tashkil-e-nazar se 'babar' khak ki khak udane se kahan banta hai