jabhi to zakhm bhi gahra nahin hai jo sang aaya hai wo pahla nahin hai kabhi chehre the aaine nahin the ab aaina hai aur chehra nahin hai ye ek shaer ki jis ko 'shauq' kahte kabhi ek haal mein rahta nahin hai kabhi har lafz eajaz-e-masiha! kabhi yun jaise kuchh kahna nahin hai kabhi aankhen samundar si sakhi hain kabhi dariya mein ek qatra nahin hai bahut hain us ki darweshi ke charche magar darwesh bhi aisa nahin hai na ras aaya to ye bhi chhod denge tera darwaza hai duniya nahin hai