ilm kis ko tha ki tarsil-e-hawa ruk jaegi agle mausam tak meri nashw-o-numa ruk jaegi ho chukega dafatan zauq-e-samaat mukhtalif aate aate mere honton tak sada ruk jaegi tu hi kyun nadim hai itni mere ghar ki aabru kis ke sar par aisi aandhi mein rida ruk jaegi ab tamasha dekhne walon mein ham-saya bhi hai tutti chhat mere chillane se kya ruk jaegi karwan ko gher hi lega sukut-e-regzar gunjne se qabl hi bang-e-dara ruk jaegi kal na hoga koi is basti mein mera muntazir kal mere talwon hi mein aawaz-e-pa ruk jaegi kya tahaffuz de sakegi mujh ko waz-e-ehtiyat kya dariche mund lene se bala ruk jaegi