juz rishta-e-khulus ye rishta kuchh aur tha tum mere aur kuchh main tumhaara kuchh aur tha jo khwab tum ne mujh ko sunaya tha aur kuchh tabir kah rahi hai ki sapna kuchh aur tha ham-rahiyon ko jashn manane se thi gharaz manzil hanuz dur thi rasta kuchh aur tha ummid-o-bim, ishrat-o-usrat ke darmiyan ek kashmakash kuchh aur thi, kuchh tha kuchh aur tha hum bhi the yun to mahw-e-tamasha-e-dahr par dil mein khatak si thi ki tamasha kuchh aur tha jo baat tum ne jaisi suni thik hai wahi main kya kahun ki yar ye qissa kuchh aur tha 'ahmad' ghazal ki apni rawish apne taur hain main ne kaha kuchh aur hai socha kuchh aur tha