lafz o bayan ke pas-manzar tak ek qaus-e-imkani aur meri jast-e-hunar ko likh de koi samt-e-maani aur bast-o-kushad-e-bazu kya hai sanson ki halchal ke siwa chand ghira ho jab maujon mein badhti hai tughyani aur sehr-e-sawad-e-bahr-o-bar se kitne tufan ubharte hain ab is shorish-e-ab-o-gil ko mitti aur na pani aur dasht-e-nawa par chha jaega is ke baad ek lamba sukut main chautha darwesh hun mujh se sun lo ek kahani aur main hun ghazal-e-mushk-guzida mera safar hai tir ke sath jab hoti hai tez ye khushbu badhti jaulani aur