is haqiqat ke siwa kya shahr kya virana tha ya mera afsana tha ya aap ka afsana tha sehr aankhon ka teri kya saqi-e-mai-khana tha mai-kashon par kaif tari raqs mein paimana tha yun tajassus mein kisi ki phir raha tha ku-baku ashk-e-khun aankhon mein lab par ishq ka afsana tha wo bhi kya din kya zamana tha ki jab sab ke liye faiz-e-saqi aam tha aur wa dar-e-mai-khana tha rah gaya ban kar junun-e-ishq sharh-e-kaenat ek wo lafz-e-anal-haq jo ki gustakhana tha ek hi markaz pe tha nazzara-e-naz-o-niyaz meri surat se ayan aks-e-rukh-e-jaanana tha 'dard' us ki zindagi bhi thi bhala kya zindagi gham se jo na-ashna tha dard se begana tha