mansub un se aaj meri zat ho gai ya'ni hayat-e-nau ki shuruat ho gai nakaami-e-mohabbat-e-jaanan ke sath sath khud zindagi bhi nazr-e-kharabaat ho gai un ki taraf se jo bhi mujhe gham 'ata hua mere liye khushi ki wo saughat ho gai phir dil mein us ki yaad ke baadal umad pade phir aansuon ki aankh se barsat ho gai mahrum ho gaya hun payam-e-visal se kya jaane kya khata hui kya baat ho gai 'shadan' meri hayat bhi pur-nur thi magar kya jaane kab ye paikar-e-zulmat ho gai