itna hi nahin hai ki tere bin na raha jae wo jaan pe bani hai ki jiye bin na raha jae ab dastaras-e-shauq hai bas nam tak us ke akasr jise sau tarah likhe bin na raha jae gham-burda sahi ghuncha-e-afsurda sahi dil tum pyar se dekho to khile bin na raha jae hai dil hi wo nadan ki ho tadbir se naumid aur phir koi tadbir kiye bin na raha jae uftad mein kuchh sai-e-matanat nahin chalti rone ko jo roken to hanse bin na raha jae hum wo hain ki sad-kaba o sad-dair ke hote gosha koi tamir kiye bin na raha jae kuchh der guzarti hai ki ai bulbul-e-nashad sayyaad se nakhchir hue bin na raha jae har chand ki furqat mein teri zahr ho jina kuchh qahr hai aisa ki jiye bin na raha jae