jo mast-e-jam-e-baada-e-irfan na ho saka wo jaanwar hi rah gaya insan na ho saka jo bhi sharik-e-mahfil-e-rindan na ho saka wo bewaquf kaamil-e-iman na ho saka waiz bhi hain wo zat-e-girami ki al-hazar ham-palla jin ka dahr mein shaitan na ho saka fitrat badal saki na kabhi mere dost ki lahbad kisi tarah se bhi toiyan na ho saka daman-e-hashr aa hi gaya kaam hashr mein neck-tie ban gai jo gireban na ho saka insanon ke zamir bike kaudiyon ke mol ghalla magar giran raha arzan na ho saka ye kashmakash zamane ki allah ki panah jina to jina marna bhi aasan na ho saka wo honge kya kisi se zamane mein ham-nabard jin pagalon se chaak gireban na ho saka batla rahi hai shaikh ki taqrir-e-muzmahil kuchh aaj halwe-mande ka saman na ho saka edi ragad ke najd mein diwana mar gaya aur us ke nam alot bayaban na ho saka rahzan libas-e-rahbari mein na chhup saka aalu ne lakh chaha pe ghuiyan na ho saka dilchasp ho saka na kabhi shaikh ka bayan kawwa gharib murgh-e-khush-alhan na ho saka ai 'shauq' rona aata hai us bad-nasib par jo khak-rub-e-kucha-e-jaanan na ho saka