jigar ko dekh ke zaKHm-e-jigar ko dekhte hain

jigar ko dekh ke zakhm-e-jigar ko dekhte hain
mere aziz mere chaaragar ko dekhte hain

padi hai samne jaise kisi aziz ki lash
hum is nazar se dil-e-be-khabar ko dekhte hain

katengi maut ke hathon ye bediyan ek din
is ek aas ko aur umr bhar ko dekhte hain

guzar rahi hai asiran-e-bad-nasib ki yun
kabhi qafas ko kabhi baal-o-par ko dekhte hain

phir aa ke hasraten dam todti hain khwab mein kya
udas dil jo hum itna sahar ko dekhte hain

sitam-kashon ko ye kya khub chup ki dad mili
jab aankh khulti hai turbat se ghar ko dekhte hain

ajal ko dekh ke sujha maal hasti ka
sahar ko dekh ke sham-e-sahar ko dekhte hain

khula hai ab ke hai hasti ka ek nam gunah
tabah-haali-e-ahl-e-hunar ko dekhte hain

pahunch ke manzil-e-hasti pe hosh ude 'bekhud'
ki rahzan tha jo ab rahbar ko dekhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close