in aankhon mein basa koi zohra-jabin hai ab muztar kuchh aisa dil hai thaharta nahin hai ab bachpan hi se the rashk-e-hasinan-e-dil-fareb ahd-e-shabab un ka ghazab dil-nashin hai ab dildar mere han se bahut mushtail gaya ai dil samajh le khair adu ki nahin hai ab aashiq tumhaara kahte hain dekha nahin kabhi yani tumhaari yaad mein khalwat-guzin hai ab kafi hai tere hath ka chhalla yahi mujhe kuchh khatim-e-sulaiman ki hasrat nahin hai ab afsana mera sun ke pasheman hai chashm-e-yar kis darja khashmagin thi magar sharmgin hai ab kya jaane yaro kis ke tasawwur mein kho gaya dekha 'jalali' hum ne sarapa hazin hai ab