main apni bebasi mahsus kar ke ro raha hunga suno ai dosto ek din main sab kuchh kho raha hunga ye duniya kar-ha-e-ahmaqana hi se chalti hai kisi mansab pe main bhi baith kar kuchh ho raha hunga tere shikwe se waqt-e-naza mujh ko sharm aaegi ki apne dagh-e-dil phir aansuon se dho raha hunga teri chashm-e-tahayyur dekh leti kis tarah mujh ko jahan hasrat ke mare sab the main bhi to raha hunga meri nusrat pe qabiz ho rahi hai meri paspai thake-haare kisi lamhe mein main bhi so raha hunga