is ada se wo jafa karte hain koi jaane ki wafa karte hain yun wafa ahd-e-wafa karte hain aap kya kahte hain kya karte hain hum ko chhedoge to pachhtaoge hansne walon se hansa karte hain nama-bar tujh ko saliqa hi nahin kaam baaton mein bana karte hain chaliye aashiq ka janaza uttha aap baithe hue kya karte hain ye batata nahin koi mujh ko dil jo aata hai to kya karte hain husn ka haq nahin rahta baqi har ada mein wo ada karte hain tir aakhir badal-e-kafir hai hum akhir aaj dua karte hain rote hain ghair ka rona pahron ye hansi mujh se hansa karte hain is liye dil ko laga rakkha hai is mein mahbub raha karte hain tum miloge na wahan bhi hum se hashr se pahle gila karte hain jhank kar rauzan-e-dar se mujh ko kya wo shokhi se haya karte hain us ne ehsan jata kar ye kaha aap kis munh se gila karte hain roz lete hain naya dil dilbar nahin malum ye kya karte hain 'dagh' tu dekh to kya hota hai jabr par sabr kiya karte hain