khayal itna sitam-ijad rakhna wafaen kuchh hamari yaad rakhna nahin shikwa jo rakkha hum ko nashad qayamat hai adu ko shad rakhna bata kya tha ki mujh ko qatl kar ke jigar par hath o jallad rakhna adu ke sath karna aish-o-ishrat hamein o bewafa nashad rakhna jo mahfil mein ho teri daur-e-saghar zara saqi hamein bhi yaad rakhna khinche us shokh ki taswir dilkash ada koi nai bahzad rakhna mujhe duniya se jis but ne mitaya khudaya tu use aabaad rakhna mera dil nazon ka pala hua hai liye jate ho us ko shad rakhna kahin mil jae dil us ka na ai dil khayal itna dam-e-fariyaad rakhna ghazab hai tujh ko o qatil na aaya gale par khanjar-e-faulad rakhna 'diler' itna kahe dete hain tum se khayal-e-khatir-e-jallad rakhna