jin dinon kuchh aur irada tha bahana aur tha

jin dinon kuchh aur irada tha bahana aur tha
wo zamana aur tha wo kar-khana aur tha

sajidan-e-ku-e-jaanan ka zamana aur tha
junbishen wo aur thin wo aastana aur tha

dagh-e-dil kyunkar luta deta main hatim ki tarah
wo khazana aur tha mera khazana aur tha

kyon na karta wo shikar-afgan dil-e-ushshaq said
har nishana aur tha dil ka nishana aur tha

mere arz-e-haal mein padhne lage tum nal-daman
wo fasana aur tha mera fasana aur tha

zakhmi-e-tir-e-nigah tegh-e-zaban se mar gae
tir khana aur tha talwar khana aur tha

shah-e-khaibar-gir se marhab ko nisbat kaun thi
dar hilana aur tha mugdar hilana aur tha

aashiq-e-sadiq ko mashuq-e-haqiqi chahiye
qais-e-abla aur tha bahlol-e-dana aur tha

din-e-ahmad se na the ai 'rashk' adyan-e-salaf
wo zamana aur tha agla zamana aur tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close