in ghataon mein ujale ka basera hi sahi khair agar aap ba-zid hain to sawera hi sahi ai gham-e-zist bulati hain mahakti zulfen aaj ki raat ye pur-nur andhera hi sahi dil mein jo aag lagi hai wo kahan bujhti hai rah shadab sahi abr ghanera hi sahi hoshiyar ahl-e-khirad khak-nashin aa pahunche aap ke zoam ka aflak pe dera hi sahi tu pareshan na ho khaliq-e-firdaus-e-barin ye jahannam ye jahan aaj se mera hi sahi kitni yaaden hain ki nagin ki tarah dasti hain 'nur' un galiyon ka ek aakhiri phera hi sahi