teri taswiron ko dekh pighalti hain

teri taswiron ko dekh pighalti hain
ab ye aankhen hum se nahin sambhalti hain

har din chehra alag tarah ka hota hai
gham ki shaklen bhi to roz badalti hain

in khwabon ka sach hona kya mumkin hai
jin ke khatir aankhen meri jalti hain

jaane kis ka lahja us par hawi hai
us ki baaten ab angar ugalti hain

dil ke qabristan ka yaron kya kahna
lashen bas jazbaat ki is mein palti hain

jab tak hun main zinda milne aa jao
lamha lamha sansen roz nikalti hain

ummidon ka suraj roz nikalta hai
sham ke jaisi 'mit' umiden dhalti hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close