in lafzon mein KHud ko DhunDungi main bhi

in lafzon mein khud ko dhundungi main bhi
apni ana ka manzar dekhungi main bhi

koi mere bare mein na kuchh bhi jaan sake
ab aisa lahja apnaungi main bhi

aankhon se chun kar sab tute-phute khwab
patthar ki khwahish ban jaungi main bhi

main khud apni soch ki mujrim thahri hun
ab ye adalat khud hi jhelungi main bhi

kis kis rang mein ilhamat utarte hain
kis kis ki rudaden likkhungi main bhi

taswiron ke maddham rang batate hain
apne ko pahchan na paungi main bhi

dukh mein 'humaira' apni hifazat karne ko
pichhle sabhi aaseb bulaungi main bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close