kab lazzaton ne zehan ka pichha nahin kiya ye mera hausla tha ki lab wa nahin kiya tajdid-e-irtibaat bhi mumkin thi baad mein main ne hi is rawish ko gawara nahin kiya pahle to ek junun sa arz-e-talab ka tha jab wo mila to dal ne taqaza nahin kiya suraj raha jo din mein mere ghar se dur dur phir main ne raat mein bhi ujala nahin kiya kya wahm tha ki khilte hi lab band ho gae kya baat thi ki lafz bhi pura nahin kiya jab mera ishtiyaq hua zabt-azma phir us ne apne aap hi parda nahin kiya main sada-lauh sada-bayan sada-arzu aur us ne sadgi pe bharosa nahin kiya main ne bhi chalte chalte kiya tha yunhi sawal kya ho gaya jo aap ne pura nahin kiya wo kam-nigah tha magar us se chura ke aankh main ne bhi apne sath kuchh achchha nahin kiya amrit samajh ke pi liya 'anjum' ne zahr-e-gham lekin tumhaare nam ko ruswa nahin kiya