kahan dariya ki tughyani se nikla talluq ret ka pani se nikla kisi ki yaad ka kanta tha dil mein bahut mushkil tha aasani se nikla gareban chaak aawara pareshan junun sahra ki virani se nikla wo jis ka muntazir tha sang-e-dar bhi wo sajda meri peshani se nikla chamakte chand ka rishta bhi yaro rukh-e-jaanan ki tabani se nikla jo manzar misra-e-ula mein gum tha wo manzar misra-e-sani se nikla ilaj-e-dard-e-dil 'zishan' dekha junun ki chaak-damani se nikla