inayat hai teri bas ek ehsan aur itna kar mere is dard ki miad mein bhi kuchh izafa kar guman se bhi ziyaada chahiye sarsabz kisht-e-jaan faqat pichhle pahar kya har pahar ai aankh barsa kar to phir ikram kya shai hai jo tanhai mein tanha hun koi mahfil ata kar qaede ki us mein tanha kar nafas ki aamad-o-shud ruk na jae peshtar is se zamin ko aur nicha aasman ko aur uncha kar bahut mumkin hai meri baaten be-mani lagen tujh ko inhen majzub ki bad jaan aur chup-chap socha kar