tanhai ka gham ruh ke andar se nikalun aawaz koi de to qadam ghar se nikalun duniya use pujegi ba-sad husn-e-aqidat main apni shabahat ko jo patthar se nikalun kho jaun kahin tira-khalaon mein to kya ho khud ko jo tere dard ke mehwar se nikalun jo dost nazar aate hain ban jaenge dushman kya munh se na sach baat bhi is dar se nikalun hassas ho duniya to jo nashtar se hai makhsus wo kaam bhi main barg-e-gul-e-tar se nikalun dushwar sahi phir bhi koi sulh ka pahlu haalat ke bigde hue tewar se nikalun sadiyon se lagi pyas ko 'mahir' jo bujha de wo jura-e-zahrab samundar se nikalun