iztirab-e-qalb hai aur ishq ka aaghaz hai ibtida-e-naghma manus-e-shikast-e-saz hai kis ki khalwat-gah mein saman-e-soz-o-saz hai aaj parwanon ki bharrai hui aawaz hai dahr se kaba se badh kar qalb ka aghraaz hai wo parastish-gah hai ye jalwa-gah-e-naz hai iztirab-e-ishq bhi hai aur firaq-e-dost bhi bazm-e-ulfat mein do guna lutf-e-soz-o-saz hai ghair ka muhtaj kab hai us ki ulfat ka mariz khud diya hai dard-e-dil khud hi wo chaara-saz hai ho gaya betab dil jalwe kisi ke dekh kar kya ada-e-dilruba kya dil-nashin andaz hai wo bulate hain mujhe main un se hila kya karun hai safar lamba tabiat aaj-kal na-saz hai be-niyazi dekh kar us ki badha zauq-e-niyaz ab jabin-e-ishq hai aur aastan-e-naz hai kis ko dekhega dikhaega wo kis kis ko jamal khud hi wo jalwa hai aur khud hi tajalli-saz hai sang-e-aswad ka hai ek but sang-e-marmar ka hai ek barhaman ye to bata kis but pe tujh ko naz hai jaanta hun awwal-e-roz-e-azal se aaj tak us ko mujh se hai mohabbat mujh ko us par naz hai izzat-o-azmat pe duniya ki karun main kyon ghurur jo mila dar se tere kafi wahi aghraaz hai raaz ban kar ho jo pinhan hai wo afsana tera aur jo ban jae afsana wo mera raaz hai kar diya gustakh aakhir us ki rahmat ne mujhe jis ki rahmat par 'umar' har waqt mujh ko naz hai