inkar hum se ghair se iqrar bas ji bas dekhe tumhaare hum ne ye atwar bas ji bas itna hun ja-e-rahm jo karta hai wo jafa to us se ro ke kahte hain aghyar bas ji bas saqi hamein pilaiye yun jam pai-ba-pai jo ham-nashin kah uthen yak-bar bas ji bas hun na-umid wasl se yun jaise waqt-e-naza ro kar kahe tabib se bimar bas ji bas ghash hun main waqt-e-bosa jo kahta hai hans ke wo munh ko hata hata ke ba-takrar bas ji bas us ka jo bas ji bas mujhe yaad aawe hai to aah pahron talak main kahta hun har bar bas ji bas kal wo jo bola tuk to kaha hum ne munh phira khair ab na hum se boliye zinhaar bas ji bas hum dil laga ke tum se hue yan talak ba-tang jo apne ji se kahte hain lachaar bas ji bas sun kar kaha ki kya mere lagti hai dil mein aag shikwa se jab kare hai tu izhaar bas ji bas aise tamanche marunga munh mein tere 'nazir' gar tu ne mujh se phir kaha ek bar bas ji bas