tisri aankh khulegi to dikhai dega aur kai din mera ham-zad judai dega wo na aaega magar dil ye kahe jata hai us ke aane ka abhi shor sunai dega dil ka aaina hua jata hai dhundla dhundla kab tera aks ise apni safai dega khush tha main chehre pe aankhon ko saja kar lekin kya khabar thi mujhe kuchh bhi na sujhai dega apne hi khun mein aaluda kiye baitha hun kaun is hath mein ab dast-e-hinai dega maut bhi dur bahut dur kahin phirti hai kaun ab aa ke asiron ko rihai dega bechne nikla hun 'alwi' mera diwan magar jaanta hun main koi paisa na pai dega