yahi safar ki tamanna yahi thakan ki pukar khade hue hain bahut dur tak ghane ashjar nahin ye fikr ki sar phodne kahan jaen bahut buland hai apne wajud ki diwar daraaz-qad ba-ada-e-khiram kya kahna tamam ahl-e-jahan ke liye hai dars-e-waqar ye daur wo hai ki sab nim-jaan nazar aae ki raqs mein hai anadi ke hath mein talwar badalti rut hai rag-e-sabza mein numu kam kam kali kali pe tera nam likh rahi hai bahaar shikasta but hain jabin zakhm zakhm but-gar ki sirhane tesha ke larzida hai koi jhankar dikhai de to wo bas khwab mein dikhai de mera ye haal ki main muddaton se hun bedar wo log jo tujhe har roz dekhte honge unhen khabar nahin kya shai hai hasrat-e-didar ze-farq-ta-ba-qadam rup-rang ki jhankar tamam mehr-o-mohabbat tamam bos-o-kanar tarah tarah se koi nam 'shaz' likhta tha hatheliyon pe hinai huruf the gul-kar