sabhi ko gham hai samundar ke khushk hone ka ki khel khatm hua kashtiyan dubone ka barahna-jism bagulon ka qatl hota raha khayal bhi nahin aaya kisi ko rone ka sila koi nahin parchhaiyon ki puja ka maal kuchh nahin khwabon ki fasl bone ka bichhad ke tujh se mujhe ye guman hota hai ki meri aankhen hain patthar ki jism sone ka hujum dekhta hun jab to kanp uthta hun agarche khauf nahin ab kisi ke khone ka gae the log to diwar-e-qahqaha ki taraf magar ye shor musalsal hai kaisa rone ka mere wajud pe nafrat ki gard jamti rahi mila na waqt use aansuon se dhone ka