main naqsh-ha-e-khun-e-wafa chhod jaunga yani ki raaz-e-rang-e-hina chhod jaunga tu aane wale kal ke liye kyun hai fikrmand tere liye main apni dua chhod jaunga tere khilaf koi na khole kabhi zaban teri nigah mein wo nasha chhod jaunga aa jaiyega shauq se be bechain jab ho dil darwaza apne ghar ka khula chhod jaunga rukhsar-o-lab ki teri na kam hongi raunaqen main har ghazal mein zikr tera chhod jaunga aaine de sakenge na tujh ko kabhi fareb teri jabin pe tera pata chhod jaunga ek khas chiz chhodunga sab ke liye 'alim' pahle se kyun bataun ki kya chhod jaunga