inqilab-e-sahar-o-sham ki kuchh baat karo dosto gardish-e-ayyam ki kuchh baat karo jam-o-mina to kahin aur se le aaenge mai-kasho saqi-e-gulfam ki kuchh baat karo ghair ki subh-e-darakhshan ka tasawwur kab tak apni kajlai hui sham ki kuchh baat karo phir jalana mah-o-khurshid ki mahfil mein charagh pahle apne hi dar-o-baam ki kuchh baat karo kya ye tute hue paimane liye baithe ho baada-nosho sitam-e-am ki kuchh baat karo zikr-e-firdaus-o-iram kal pe utha rakhte hain aaj to aariz-e-asnam ki kuchh baat karo main to khair apni wafaon pe hun nazan lekin wo jo tum par hai us ilzam ki kuchh baat karo talkhi-e-kaam-o-dahan se kahin gham dhulte hain zalimo talkhi-e-ayyam ki kuchh baat karo itna sannata ki ehsas ka dam ghutta hai subh ka zikr karo sham ki kuchh baat karo wahi 'arshad' ki jalata hai jo aandhi mein charagh han usi shair-e-badnam ki kuchh baat karo