jigar mein dard na rakh dil mein iztirab na rakh

jigar mein dard na rakh dil mein iztirab na rakh
tu apni aankhon mein us bewafa ke khwab na rakh

junun-zada hi nikalenge ab koi surat
khirad-paraston se ummid-e-inqalab na rakh

amir-e-shahr ki khushnudiyon se kya hasil
tu rehn us ke liye honton ke gulab na rakh

na jaane kaun se darwaze se wo dakhil ho
kisi bhi daur mein band apne dil ke bab na rakh

safar agar hai zaruri to ja magar ai dost
kisi bhi shakhs ko hamrah-o-ham-rikab na rakh

wo apne fan ki badaulat kahan nahin maqbul
hunar-waron ke sar ehsan-e-intikhab na rakh

shabab to hai ba-zat-e-khud ek hangama
tu mujh pe tohmat-e-hangama-e-shabab na rakh

khud apna tajziya kar apni khamiyon ko dhund
kisi ki zat pe ilzam-e-ijtinab na rakh

jo hona hai yahin ho jae ai mere maula
mera hisab sar-e-roz-e-ehtisab na rakh

jo mujh se milna hai 'rahbar' to mil khule dil se
ki darmiyan koi parda koi hijab na rakh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close