insan jab se zar ka parastar ho gaya

insan jab se zar ka parastar ho gaya
duniya mein garm qatl ka bazar ho gaya

kaise kahun ki aala hai us ka hasab-nasab
kam-asl ko jo aaina-bardar ho gaya

phaila raha hai hath reaya ke samne
majbur kaisa waqt ka mukhtar ho gaya

sohbat kisi faqir ki milne ki der thi
gumrah shakhs sahib-e-kirdar ho gaya

qatil ko mil bhi jae saza maut ki to kya
viran to gharib ka ghar-bar ho gaya

batwara ghar ka hote hi qismat bhi bat gai
koi gharib aur koi zardar ho gaya

jab shairi ki shin se waqif talak nahin
'mukhlis' ka phir bhi turra ki fankar ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close