zindagi jaise baddua sain koi eajaz kar dikha sain gham ki chadar lapet kar dekha sari duniya hai bewafa sain gunge bahron ke shahr mein aakhir kaun sunta teri sada sain pas paisa to sari duniya dost warna koi nahin saga sain jis ki fitrat mein rahzani thi faqat wo bana sab ka rahnuma sain chal pade jis taraf ko ji chaha apni manzil na rasta sain phir piyegi zamin lahu 'shahzar' shahr maidan-e-karbala sain