insan ko milte hain nai baat ke patthar

insan ko milte hain nai baat ke patthar
takraate hain jis waqt khayalat ke patthar

ehsas pe girte hain jo auqat ke patthar
jazbon ko kuchal dete hain haalat ke patthar

jab pyar ki rahon mein qadam us ne badhaya
majnun ko bhi mare gae din raat ke patthar

kaba ho ya kashi ho zara ghaur se dekho
azmat ki nishani hain maqamat ke patthar

kya ho gaya is daur ko arbab-e-khirad ko
padne lage aqlon pe riwayat ke patthar

diwana jo guzra hai kabhi teri gali se
mare use logon ne sawalat ke patthar

kyon kar na ho aaina-e-jazbaat shikasta
aae hain mere nam jawabaat ke patthar

dil par mere us jaan-e-wafa ne sar-e-mahfil
phenke hain nigahon se ishaaraat ke patthar

mahfil mein 'nigar' un ke liye main ne tarashe
alfaz ki shaklon mein khayalat ke patthar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close