teri nigah ka ye inqalab dekha hai dil-o-nazar mein ajab iztirab dekha hai kabhi to ishq mein ye inqalab dekha hai ki apne aap ko hi be-hijab dekha hai zamin-e-shahr-e-wafa kyon na ho falak ka jawab har ek zarra yahan aaftab dekha hai jo be-misal hai duniya mein ishq-e-parwana to husn-e-shama ko bhi la-jawab dekha hai diya hai jis ne khud apne lahu ka nazrana rah-e-wafa mein use kaamyab dekha hai har ek daur mein ahl-e-sitam zalil hue jise bhi dekha to khana-kharab dekha hai nigah-e-naz ke andaz jaante hain hum hamin ne raqs mein jam-e-sharab dekha hai tasawwuraat mein rakhte hain ek hasin chehra kisi ne hum sa bhi ahl-e-kitab dekha hai ye rahnuma nahin rahzan hain daur-e-hazir ke kahin bhi tum ne inhen kaamyab dekha hai