ye baat teri chashm-e-fusun-kar hi samjhe sahra bhi nazar aae to gulzar hi samjhe ek baat jise sun ke haya aae chaman ko ek baat jise nargis-e-bimar hi samjhe is tarah dukan dil ki sajaun ki zamana dekhe to use misr ka bazar hi samjhe kya sham-o-sahar us ki hai kya us ke shab-o-roz duniya ko bhi jo kakul-o-rukhsar hi samjhe kahta hi raha dil ki ye sahra-e-junun hai hum the ki use saya-e-diwar hi samjhe wo bhi to chaman zad the jo shakh-e-chaman ko gardan pe latakti hui talwar hi samjhe har chand tha daman mein liye wusat-e-kaunain is dil ko magar nuqta-e-parkar hi samjhe zahid ko bhala kab thi yahan fursat-e-tafhim rahmat ko teri tere gunahgar hi samjhe wo haal 'raza' tum ne bana rakkha hai dil ka dekhe jo koi ishq ka aazar hi samjhe