meri nazar se pare mujhse dur kuchh to hai

meri nazar se pare mujh se dur kuchh to hai
ki khat mein aap ke bainassutur kuchh to hai

main apne ishq se mayus kaise ho jaun
isi diye se mere dil mein nur kuchh to hai

main apne aap se nazren chura raha hun kyon
ki is mein raaz-e-dil-e-na-subur kuchh to hai

tera qasida nahin padh rahi hai yun duniya
tere wajud ke andar zarur kuchh to hai

ye raaz aap ki aankhen bayan karti hain
ki mujh se aap ko ranjish huzur kuchh to hai

khuda ki zat se waqif jo kar raha hai mujhe
mera shuur hai ya la-shuur kuchh to hai

har ek shakhs se katra raha hun ai 'meraj'
ye zo'm hai ki ana ya ghurur kuchh to hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close