irfan hai ye ishq ke soz-o-gudaz ka

irfan hai ye ishq ke soz-o-gudaz ka
parda utha raha hai koi imtiyaz ka

taron se puchhiye meri aankhon ko dekhiye
duniya ko kya pata shab-e-hijr-e-daraaz ka

jaane se qabl tur pe musa ye dekhte
kya zarf hai hawas tajalli-nawaz ka

sab surkhiyan hain khun-e-wafa si likhi hui
qissa hai dil-gudaz shahid-e-niyaz ka

sar be-khudi mein aap ke qadmon pe jhuk gaya
aaya tha kuchh khayal sa dil mein namaz ka

aankhen jhuka nazar na mila dil pe tir kha
pahla sabaq hai ishq ke raaz-o-niyaz ka

mahfil mein dekhte hain wo taswir ki tarah
markaz hai har nafas nigah-e-imtiyaz ka

dekha phir us ne qalb ki phir harkaten badhin
zakhma bani hai phir nigah-e-naz saz ka

zarf aazmae sozish-e-sad-barq-e-tur se
lije na imtihan dil-e-be-niyaz ka

'talib' agar nazar na ho pamal-e-khwahishat
har lama barq-e-tur hai husn-e-majaz ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close