is ahd-e-taraqqi ka andaz nirala hai

is ahd-e-taraqqi ka andaz nirala hai
basti mein andhera hai sahra mein ujala hai

auron ko bhi lutf aae yun rah mein dala hai
kanta jo abhi hum ne pairon se nikala hai

aasan hai masafat bhi hai shaghl-e-ibaadat bhi
har mod pe raste ke ab ek shiwala hai

tum kuchh bhi karo tum par kuchh aanch na aaegi
inkar ka aala bhi kya kaam ka aala hai

hum lakh machaen ghul sunta hi nahin apni
tum bolo to khul jae kya khub ye tala hai

larzan hain qadam apne ab hum ko sanbhaale kaun
hum ne to yahan kitne girton ko sanbhaala hai

lagti hai usi din se mahfil teri be-raunaq
diwane ko jis din se mahfil se nikala hai

be-waqt ki ye aandhi be-waqt ki ye barish
aasar batate hain kuchh hone hi wala hai

urdu ke liye wada bahlawe pe bahlawa
lagta hai 'musawwir' ab kuchh dal mein kala hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close