kuchh din guzre 'ali'-sahib aali-ji kahlate the mahfil mahfil qarya qarya sher sunate jate the qadr-e-sukhan hum kya jaanen han rang-e-sukhan kuchh aisa tha achchhe achchhe kahne wale apne pas bithate the ghazlon mein sau rang mila kar apna rang ubhaara tha ustadon ke sae mein kuchh apni rah banate the giton mein kuchh aur na ho ek kaifiyat si rahti thi jab bhi misre raqsan hote mani saz bajate the dohe kahne aur padhne ka aisa tarz nikala tha sunne wale sar dhunte the aur pahron padhwate the samne baithi sundar naren aap talab ban jati thin pardon mein se farmaish ke sau sau parche aate the ghazlen dohe git ki shohrat mulk se bahar phaili thi hindostan se aane wale tohfon mein le jate the ahl-e-hunar ki khosha-chini un ko wajh-e-saadat thi be-hunaron mein apni ana ka parcham bhi lahraate the phir dekha ki bachcha bachcha hansta tha aur 'ali'-ji farden likhte maslen padhte baithe gild chalate the