izhaar-e-aqidat mein kahan tak nikal aae hum ahl-e-yaqin wahm-o-guman tak nikal aae shadab bahaaron ke tamannai kahan hain mausam ke qadam zakhm-e-khizan tak nikal aae ye kaisa alam hai ki gareban ho salamat aur aankhon se khun bhi rag-e-jaan tak nikal aae kab niklegi diwanon ki baraat gharon se sinon mein baghawat ke nishan tak nikal aae maqtal mein bahattar bhi nahin nikle hain ab ke dargahon mein sab pir-o-jawan tak nikal aae ab to na karo rah-numaon ki shikayat akhbaron mein ab un ke bayan tak nikal aae ab kaun sar-e-dar nazar aaega 'farigh' jab ahl-e-junun sud-o-ziyan tak nikal aae