nafs-e-sag-e-palid ko gar apne mariye manind-e-sher dasht-e-jahan mein dakariye us gul ko josh-e-gul mein ye kah kar ubhaariye gulshan mein andalib ko chal kar pukariye phir murgh-e-dil ko phansiye phir jal mariye phir ho sake to aap se gesu sanwariye piri mein kaif-e-ishq se tauba to kijiye manzil rahi hai thodi si himmat na haariye girdab-e-bahr-e-ishq ke chakkar hain raat din kaun aashna-e-haal hai kis ko pukariye dil de ke jaur-o-zulm ka shikwa na kijiye do din ki zindagi kisi dhab se guzariye ahl-e-hawas ki dahr mein mitti kharab hai galiyon mein khak chhan rahi hain niyariye manind-e-zulf ghair ko kyun sar chadhaiye aankhon se shakl-e-ashk ke is ko utariye paida karen asar jo dur-e-ashk naseho un motiyon pe hans ko sau bar wariye juz mere dal aap ki galti nahin kahin yun munh se jitni chahiye shekhi baghaariye nala jo zer-e-tegh kiya main ne jis ghadi bole ki ek dam ke liye dam na mariye tauba sharab-e-ishq se kis tarah kijiye kyunkar ye jin chadha hua sar se utariye kya kya na dost apne miyan-e-adam gae kis ko talash kijiye kis ko pukariye us but ke bahr-e-husn mein dil ko duboiye is kashti-e-hayat ko yun par utariye manzur ho jo rahat-e-kaunain 'muntahi' hathon ko khich lijiye panw pasariye