main ne khud pinjre ki khidki kholi hai chidiya apne aap kahan kuchh boli hai suraj ne jangal mein dere dale hain patjhad ne bhi kheli aankh-micholi hai yun bahen phailae milti hai aa kar barish jaise mitti ki ham-joli hai hae tashakhkhus ki mari is duniya mein sab ki apni riti apni boli hai dip jalae rasta takti rahti hun wo aae to id diwali holi hai us ka lahja raat ki rani ke jaisa uf us ne ye kaisi khushbu gholi hai kaisi girani hai izzat ki roti mein is se sasti ek banduq ki goli hai puchh rahi hai apni man se ek beti byah ke mani zewar lahnga choli hai kab se le kar aas karam ki ya-allah tere dar pe apni phaili jholi hai khud-gharzi ke daur mein 'sima' rishton se ummiden rakhti hai kitni bholi hai