kabhi aabaad karta hai kabhi barbaad karta hai sitam har roz hi wo ek naya ijad karta hai hum us ki har ada par roz par phailae aate hain nazar ke jal mein paband jo sayyaad karta hai wo kal bhi mo'atabar tha aaj bhi rahbar hamara hai wo dushman jo watan ki khokhli buniyaad karta hai usi ke ishq mein jalna meri taqdir thahri hai mohabbat ki nai jo bastiyan aabaad karta hai main us ke pyar ke dhagon se apni umr bunta hun jo mera nam le le kar mujhe barbaad karta hai tazad-e-ishq ka ye khel bhi kitna anokha hai use hum bhul jate hain jo hum ko yaad karta hai zamana ho gaya lekin khabar lene nahin aaya jo panchhi roz mere nam par aazad karta hai ajab wo shakhs hai us ki mohabbat bhi nirali hai jo pahle qaid kar ke baad mein aazad karta hai main ek muddat se us ke pyar ki khushbu mein jita hun 'hasan' misl-e-hawa jo roz mujh ko shad karta hai