is shahr-e-khuftgan mein koi to azan de aisa na ho zamin ka jawab aasman de padhna hai to nawishta-e-bainassutur padh tahrir-e-be-huruf ke mani pe dhyan de suraj to kya bujhega magar ai hawa-e-mahr tapti zamin pe abr ki chadar hi tan de ab dhup se gurez karoge to ek din mumkin hai saya bhi na koi saeban de main sochta hun is liye shayad main zinda hun mumkin hai ye guman haqiqat ka gyan de main sach to bolta hun magar ai khuda-e-harf tu jis mein sochta hai mujhe wo zaban de suraj ke gird ghum raha hun zamin ke sath is gardish-e-mudam se mujh ko aman de main tangi-e-makan se na ho jaun tang-dil apni tarah mujhe bhi koi la-makan de meri gawahi dene lagi meri shaeri yarab mere sukhan ko wo husn-e-bayan de