is daur ki palkon pe hain aansu ki tarah hum kuchh der mein ud jaenge khushbu ki tarah hum badh kar kisi daman ne bhi hum ko na sambhaala aankhon se tapakte rahe aansu ki tarah hum kis phul se bichhde hain ki phirte hain pareshan jangal mein bhatakti hui khushbu ki tarah hum ab din ke ujale mein hamein kaun pukare chamke the kabhi raat mein jugnu ki tarah hum har mod pe aain tere daman ki hawaen har chhanw ko samjhe tere gesu ki tarah hum 'qaisar' hamein duniya ne samajh kar bhi na samjha uljhe hi rahe kakul-e-urdu ki tarah hum