sar-barahna bhari barsat mein ghar se nikle hum bhi kis gardish-e-haalat mein ghar se nikle din mein kis kis ko bataenge masafat ka sabab bas yahi soch ke hum raat mein ghar se nikle sar pe khud apni salibon ko uthae hum log ruh ka bojh liye zat mein ghar se nikle kab baras jaen in aankhon ka bharosa hi nahin kaun be-waqt ki barsat mein ghar se nikle dar gaya dekh ke main shahr-e-muhazzab ka chalan kitne aaseb fasadat mein ghar se nikle ain mumkin hai ki wo din mein numayan hi na ho us sitare se kaho raat mein ghar se nikle un ki fitrat mein taghaful bhi murkkab tha 'nafas' hum hi nadan the jo jazbaat mein ghar se nikle