is daur mein har ek tah-e-charkh-e-kuhan luta auron ka zar luta mera naqd-e-sukhan luta khalwat-nashin ho to dil-e-ashiq mein kar jagah yun daulat-e-jamal na ai sim-tan luta bulbul ko kaisi kaisi huin aafaten nasib gulchin ke dast-e-zulm se kya kya chaman luta fariyaad tak khuda se na ki ai sanam teri main be-zaban tere yahan ai be-dahan luta nabbash ki jafaen huin hum pe baad-e-marg ai aasman zer-e-zamin bhi kafan luta jhonke chale hawa ke pareshan hui wo zulf khushbu tamam phaili hai mushk-e-khutan luta 'hatim' wo hun ki baad-e-fana dil ko dun salah ab qabr mein bhi khak udaya kafan luta be-dil sukhan hun 'mehr' padhun sinn-e-isawi auron ka zar luta mera naqd-e-sukhan luta